Peron mein ladkhadahat,armano mein kami si hi..
Vichlit mann tha,ankhen kuch soch mein rami sit hi..
Hawao mein yun zulfon ka bikharna,
Sooraj ki roshni mein palkon ka yun bar bar jhapakna..
Wo milna mera kuch ajnabiyon se yun ki..
Garmi aur ghabrahat se mere gale ka sookhna..
Sabki muskurahat ko dekhkar,
Khud ko bhi mehfil mein shamil karna..
Zabardasti ka hasna, aur akele mein azaad mahsoos karna..
Yun waqt ane per ek ajib si himmat ikatthi karna,
Aur phir ghar akar tasalli se letna..
Apne khokhlepan se bahar nikalna,
Aur phir khud se zara milna..
1 comment:
First of all I liked the rhyme you used..
Very effectively explained the daily routine work and feelings coming daily at work place and the relief after all the time we fake...
Yes it feels great after such time to be alone at home( relaxing).
But at the end of the day this whole pack of things only makes us feel satisfied.
Post a Comment